Saturday, October 8, 2016

Shadi Ka Asr Health Par...


LIFE PARTNER ke sath aapka rishta kesa he usse n keval aapke personal life
par effect pdta he blki aapki HEALTH par bhi iska khasa asr pdta he.

STREES KA LEVEL
agr aapki aapke life partner ke sath aapsi smjh achi he or aap humesha apna sukh-dukh
ak dusre ke sath share krte he to isse aapke strees ka level kam hota he or aap acha
feel krte he iske alawa life partner ka aapke sath kiya gya behave strees ke level ko
kam ya jyada krta he, agr ghar ke muddo etc par aapas me bhs hoti he to isse bhi strees
bdhta he.

FEEL-GOOD HORMONE
ak dusre ko hug krne se n keval aap dono ke bich pyar bdhata he blki aap dono ki health
bhi achi rhti he, ak research me ye paya gya he ki married jodo ke ak dusre ke gle lgane par
blood me oxitosin ka level bdhta he sath hi  mood bhi acha hota he, chand lmho ke liye ak
dusre ka hath pkdna , hug krna ye n sirf aapke andar pyar ka ahsas jgate he blki isse
body me un hormones ka level bdhta he jo strees ko kam krne ka kam krte he.

HEALTHY RHE HEART
rishte or dil me ak ghra nata hota he, ye to hum sbhi jante, ye bat health ki darshti se
bhi lagu hoti he, ye bat humesha se dekhi gyi he ki jinki bhi married life khushal
hoti he unme dil ka dora pdne ki aasnka bhut kam hoti he, agr husband wife ak dusre
ka aapas me khas khyal rkhte he to in sari bato ka asr dil par pdta he,
isliye rishte me strees ki jgh pyar ko jgh de taki aapka dil
bhi healthy rhe or rishta bhi.

NIND NA AANA
aap din bhar apne life partner ke sath kesa behave krte he uska asr nind par bhi pdta he
agr aap rishte me unsecure ki bhavna se grsit he ya fir aapne partner se kisi mudde par
unaccepted he to in sari chijo ke karan bhi aapko nind nhi aane ki bimari ho skti he.

TENSION AND AVSAD
ak research se ye bat pta chali he ki tension ka sidha judav aapki married life se he
koi problem he to har bat par jyada fikar krne ki problem ho jati he, hum har choti choti
bat par pareshan or fikarmand ho jate he, married life ki choti bdi bat kai bar avsad
peda krne ka kam krti he.
Best 20 Apps For Fitness

HEALTH PAR DHYAN
agr life partner rojana aapke health ko lekar chintit rhta he, aap apni dvaiya shi
time par leti he ya nhi, aapka khanpan healthful he ya nhi etc., ye sari bate aapki
life style ko or bhi jyadya healthy bnati he sath hi agr koi physically problem he to
vo bhi jalad pkd me aa jati he.

BLOOD PRESSURE
jis trh exercise ki habits, khanpan, strees etc. ka sidha effect blood pressure
par pdta he thik usi trh rishte ke savrup se  bhi blood pressure kam ya jyada
hota he, research ke anusar jin couples ki married life khusnuma trike se spend hoti he
unme blood pressure level normel hota he, vhi agr married life  me strees he to
jahir tor par blood pressure bdh jayega.
Kyo jruri he Mediclaim

aapko ye post kesi lgi comment krke jrur btaye.

No comments: